User


Firaq Ghorakpuri

mathboy's picture

Raghupati Sahay Firaq Gorakhpuri is a great son of Urdu. Urdu zaban ko apnay iss mayanaz spoot pe jitna naz ho kam hay. Unke aik dilkash ghazal paish karta hoon. Aap ko pasand nay ayay ho nahe sakta.

Bazi-e-ishq ke pooch na baat
jeet ke jeet hay maat ke maat

kat-tay kat-tay kat-ti hay
hijer ke ghat-ti bharti raat

rakh rakhao uss aankh ka dhaik
chup ke chup aur baat ke baat

paani ka tu bahana hay
aag lagati hay barsat

ramz-o-kanaya ke hay jaan
uss ke seedhi saadi baat

qatil usko kaun kahay
hans-mukh aankhain, komal ghaat

jeenay walay je he lain gay
ab na milo gay? achi baat

hijar main pehli negah ka zikr
kab yaad aae kab ke baat

Comments

drywood's picture

drywood said i lov da poem ...

i lov da poem

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Ek aur Firaq Ghorakpuri.. ...

ye maanaa zindagii hai chaar din kii
bahut hote hai.n yaaro chaar din bhii

Khudaa ko paa gayaa vaa_iz magar hai
zaruurat aadamii ko aadamii kii

milaa huu.N muskuraa ke us se har baar
magar aa.Nkho.n me.n bhii thii kuchh namii sii thii

muhabbat me.n kahe.n kyaa haal dil kaa
Khushii hii kaam aatii hai na Gam hii

bharii mahafil me.n har ek se bachaakar
terii aa.Nkho.n ne mujh se baat kar lii

la.Dakapan kii adaa hai jaan-levaa
Gazab kii chhokarii hai haath-bhar kii

raqiib-e-Gamazadaa ab sabr kar le
kabhii us se merii bhii dostii thii

 

mathboy's picture

mathboy said Sabhassam Saheb, Firaq ke ...

Sabhassam Saheb, Firaq ke itni khoobsurat ghazal paish karnay per aapka shukriya.. Firaq ke shaeri se baqol Firaq

Chair diya ghazal main aaj wo naghma-e-zameen
utth gayay ghoongat ay Firaq zahra-o-mushtari kay bhe


 

wild_lyone's picture

wild_lyone said mathboy hmmmmmm ...

haseen, khubsoorat da poem

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Mathboy ...

Shukriya Mathboy, he is a great poet indeed..

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Ek aur pesh hai.. ...

jab nazar aap kii ho ga_ii hai
zi.ndagii zi.ndagii ho ga_ii hai

baarahaa bar-Khilaaf-e-har-ummiid
dostii dushmanii ho ga_ii hai

hai vo takamiil purakaariyo.n kii
jo merii saadagii ho ga_ii hai

terii har pursish-o-meharbaanii
ab merii bekasii ho ga_ii hai

bhuul baiThaa hai tuu kah ke jo baat
vo merii zi.ndagii ho ga_ii hai

bazm me.n aa.Nkh uThaane kii taqasiir
ai "Firaq" aaj bhii ho ga_ii hai

 

Join the Qatar Living Community


From the Asian Sub-Continent


Qatar Living on Facebook