User


Poem of Nasir Kazemi

mathboy's picture

Dil dharkany ka sabab yaad aya
wo teri yaad the, ab yaad aya

din guzara tha bari mushkal se
phir tera waada-e-shab yaad aya

tera bhoola hua paiman-e-wafa
mar rahain gay agr ab yaad aya

haal-e-dil hum bhe sunatay lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bhaith kar saya-e-gul main Nasir
hum buhat royay wo jab yaad aya

Comments

azharm's picture

azharm said mathboy ...

afet hai yeh afet aur madam NoorJahan nay isay bohat umda gaya bhi hai, thanks for sharing it

bhaith kar saya-e-gul main Nasir
hum buhat royay wo jab yaad aya

 

wild_lyone's picture

wild_lyone said mathboy ...

nice one
haal-e-dil hum bhe sunatay lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

 

mathboy's picture

mathboy said Azhar aur wild_lyone saheban ...

Azhar aur wild_lyone saheban shukriya. Nasir Kazemi chuti behr ke badshah hain.. kuch mazeed ashaar paish karta hoon..

neyat-e-shauq bhar na jayay kahe
tu bhe dil se utar na jayay kahe
aaj dhaika hay tujh ko dair kay baad
aaj ka din guzar na jayay kahe
na mila kar udaas logoo se
husan tera bikhar na jayay kahe
aarzo hay ke tu yahan ayay
aur phir umar bhar na jayay kahe
ji jalata hoon aur sochta hoon
raigan ye hunar na jayay kahe
ayo kuch dair ro he lain Nasir
phir ye darya utar na jayay kahe

 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said very nice poem thanx 4 ...

very nice poem thanx 4 sharing.

dil dukhane ka sabab yaad aya
wo teri yaad thee ab yaad aya

 

mathboy's picture

mathboy said Naseebfinder saheba, Kazemi ...

Naseebfinder saheba, Kazemi key haan jo jidat hay wo uss daur ke dosray shu'ara kay kalam main mafqood nahe tu kam kam zaroor hay

Gul nahe mai nahe payala nahe
koi bhe yaadgar-e-rafta nahe
fusat-e-shauq ban gye deewar
ab bhagnay ka koi rasta nahe
hoosh ke talkiyan mitain kaisay
jitni peeta hoon utna nasha nahe

 

doodlebugs's picture

doodlebugs said for some reason i know this one by heart ...

chhoti behr men: Tanhai

Tanhai ka dukh hara tha
Mein darya darya roya tha

Ek hi leher na sambhli warna
Mein toofanon se khela tha

Tanhai ka tanha saaya
Kab se mere saath laga tha

Chor gaye jab saare saathi
Tanhai ne saath dia tha

Sookh gayi jab sukh ki daali
Tanhai ka phool khila tha

Tanhai mein yaad-e-khuda thi
Tanhai mein khauf-e-khada tha

Tanhai mehrab-e-ibaadat
Tanhai manbar ka diya tha

Woh jannat mere dil mein chupi thi
Mein jise bahir dhoondh raha tha

Tanhai mere dil ki jannat
Mein tanha hun, mein tanha tha.


 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said bro mathboy acha tajya kia apne. kazmi saheb ke poetry ka apna a ...

doodlebugs choti behr ke achi nazm hai.

wo janat mere dil mein chupi thi
mein jise bahir dhoondh raha tha


 

mali01's picture

mali01 said tere Khayaal se lau de uThii ...

tere Khayaal se lau de uThii hai tanhaa_ii
shab-e-firaaq hai yaa terii jalvaa_aaraa_ii

tuu kis Khayaal me.n hai ai manzilo.n ke shaadaa_ii
unhe.n bhii dekh jinhe.n raaste me.n niind aa_ii

pukaar ai jaras-e-kaaravaan-e-subah-e-tarab
bhaTak rahe hai.n a.Ndhero.n me.n tere saudaa_ii

rah-e-hayaat me.n kuchh marhale to dekh liye
ye aur baat terii aarazuu na raas aa_ii

ye saanihaa bhii muhabbat me.n baarahaa guzaraa
ki us ne haal bhii puuchhaa to aa.Nkh bhar aa_ii

phir us kii yaad me.n dil beqaraar hai ’Nasir’
bichha.D ke jis se hu_ii shahar shahar rusavaa_ii

 

wild_lyone's picture

wild_lyone said mathboy, doodlebugs, mali ...

nice collection

 

leelah's picture

leelah said wah subhaan Allah ...

Bohet umda.

 

Eco-savvy's picture

Eco-savvy said SubhanAllah means glory be to Allah ...

How Perfect is Allah and Far Above any flaw and association.

Leelah may i know for which word you r glorifying Allah

The Night of Decree is better than a thousand months.” [Qur’an 97:3]

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said To Mathboy and all ...

Very nice poetry, bohot hi umda, bohot atche...

 

mathboy's picture

mathboy said doodlebugs and Mali01: boht ...

doodlebugs and Mali01: boht shukarya itna behtreen kalam paish karnay ka

 

mathboy's picture

mathboy said Mujhay Nasir kazemi ke ye ...

Mujhay Nasir kazemi ke ye nazm boht pasand hay. Iss nazam ke kuch ashaar mujhay zabani yaad hogayay hain.

Mujhay iskay her sh'er main aik kahani dekhai daiti hay.. ajeeb-o-ghareeb mehsosaat aur aik anokha rang...

Aaj tu be-sabab udaas hay ji
ishq hota tu koi baat bhe thi

jalta phirta hoon main do-pehro main
janay kia cheez kho gye hay meri

wahen phirta hoon main bhe khak basar
iss bharay shaher main hay aik gali

chup-ta phirta hay ishq dunya se
phailti ja rahi hay ruswaie

hum-nasheen kia kahon ke wo kia hay
chore ye baat neend anay lagi

Aaj tu wo bhe kuch khamoosh sa tha
main nay bhe uss se koi baat na ke

aik dum uss kay hont choom leyay
ye mujhay baithay baithay kia soojhi

aik dum uss ka haath choor dia
janay kia baat darmyan aye

Tu jo itna udaas hay Nasir
tujhay kia ho gaya bata tu sahi

 

mali01's picture

mali01 said gaye dino.n kaa suraaG lekar ...

gaye dino.n kaa suraaG lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa vo
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa vo

Khushii kii rut ho ke Gam kaa mausum nazar use Dhuu.NDhatii hai har dam
vo buu-e-gul thaa ke naGmaa-e-jaan mere to dil me.n utar gayaa vo

vo maikade ko jagaanevaalaa vo raat kii niind u.Daanevaalaa
na jaane kyaa us ke jii me.n aa_ii ki shaam hote hii ghar gayaa vo

kuchh ab sambhalane lagii hai jaa.N bhii badal chalaa rang aasmaa.N bhii
jo raat bhaarii thii Tal ga_ii hai jo din ka.Daa thaa guzar gayaa vo

shikastaa_paa raah me.n kha.Daa huu.N gaye dino.n ko bulaa rahaa huu.N
jo qaafilaa meraa ham_safar thaa misl-e-gard-e-safar gayaa vo

bas ek manzil hai bul_havas kii hazaar raste hai.n ahal-e-dil ke
ye hii to hai farq mujh me.n us me.n guzar gayaa mai.n Thahar gayaa vo

vo jis ke shaane pe haath rakh kar safar kiyaa tuune mannzilo.n kaa
terii galii se na jaane kyuu.N aaj sar jhukaaye guzar gayaa vo

vo hijr ki raat kaa sitaara vo ham_nafas ham_suKhan hamaaraa
sadaa rahe us kaa naam pyaaraa sunaa hai kal raat mar gayaa vo

bas ek motii sii chhab dikhaakar bas ek miiThii sii dhun sunaa kar
sitaaraa-e-shaam ban ke aayaa barang-e-Khayaal-e-sahar gayaa vo

na ab vo yaado.n kaa cha.Dhataa dariyaa na fursato.n kii udaas barkhaa
yuu.N hii zaraa sii kasak hai dil me.n jo zaKhm gaharaa thaa bhar gayaa vo

vo raat kaa benavaa musaafir vo teraa shaayar vo teraa ’Nasir’
terii galii tak to ham ne dekhaa phir na jaane kidhar gayaa vo

 

mali01's picture

mali01 said Syed Nasir Raza Kazmi was ...

Syed Nasir Raza Kazmi was one of the leading Urdu poets of the post-partition era. Full of unfulfilled ambitions and tragedies, his poetry had an autobiographical feel about it.

The intention, which moved Nasir to try his hand at poetry, was a noble one. He wanted to forever capture the eye pleasing and emotionally moving images in his poems. Such preservation has amounted to an evergreen and immortal legacy left behind by the poet. Although primarily his poetry constituted to Ghazals, he was also found proficient in writing ‘Nazms’ and dramas. ‘Sar Ki Chaya’ is one such work in this book where Nasir displays his various talents. Conceptually it’s a drama, masterfully construed in a form of a ‘Nazm’.

 

azharm's picture

azharm said mali ji ...

that is a wonderful piece of research, wow ap to kamal ka likhti hain, khoob andaze bayaan hai bohat khoob

 

azharm's picture

azharm said mathboy ...

kia khoobsoorat choice hai ap ki amazing
lovely
Aaj tu be-sabab udaas hay ji
ishq hota tu koi baat bhe thi
wah bohat khoob

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Hope you like this one.. ...

tuu hai yaa teraa saayaa hai
bhesh judaa_ii ne badalaa hai

dil kii havelii par muddat se
Khaamoshii kaa qufl pa.Daa hai

chiiKh rahe hai.n Khaalii kamare
shaam se kitanii tez havaa hai

daravaaze sar pho.D rahe hai.n
kaun is ghar ko chho.D gayaa hai

hichakii thamatii hii nahii.n 'Nasir'
aaj kisii ne yaad kiyaa hai

 

Join the Qatar Living Community


From the Asian Sub-Continent


Qatar Living on Facebook