User

کلمہ عشق kalma-e-ishq

azharm's picture

کلمہ عشق
گل سے خوشبو کو ھٹا کر دیکھو
تم مرا نام ذرا دل سے مٹا کر دیکھو

داستان محبت مرے چہرے پہ ملے گی
ذرا دھند کو انکھوں سے چھٹا کر دیکھو

زندگی چار گھڑی کم ہے ملے جو بھی خوشی
رنج کیسا ہی سہی اس کو گھٹا کر دیکھو

کیوں یہ حب دیکھ تجھے خود سے امڈ اتا ہے
وحشت سے میری خود کو اٹا کر دیکھو

ہے کتنا سہل خود کو مٹاتے جانا اظھر
کلمہ عشق ذرا خود کو رٹا کر دیکھو

kalma-e-ishq

gul say khushbu ko hata ker dekho
tum mera naam zara dil say mita kar dekho

dastane mohabat meray chehray pay milay gi
zara dhund ko ankhon say chatta kar dekho

zindagi char ghari kum hai milay jo bhi khushi
runj kaisa hi sahi us ko ghatta kar dekho

kyun yeh hub dekh tujhay khud say umad ata hai
wehshat say meri khud ko ata kar dekho

hai kitna shehel khud ko mitatay jana azhar
kalmae ishq zara khud ko rata kar dekho

Posted in:

Comments

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said shukria............. ...

very nice.

 

yousri's picture

yousri said Zindagi char ghari kum hai ...

Zindagi char ghari kum hai milay jo bhi khushi
Runj kaisa hi sahi us ko ghatta kar dekho
bhut khoob.

"Think 100 times before you take a decision, But once that decision is taken, stand by it as one man" - Muhammad Ali Jinnah

 

azharm's picture

azharm said naseebfinder ji ...

bari navazish, bohat meharbani ap ka izhare pasandeedgi bohat nice hai ji
best regards

 

azharm's picture

azharm said yousri ji ...

be had mamnoon ap ki pasandeedgi ka

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said kyun yeh hub dekh tujhay ...

kyun yeh hub dekh tujhay khud say umad ata hai
wehshat say meri khud ko ata kar dekho

Bohot hi atche, Shabbash

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

kaisay hain ap? wapis a gayay ya abhi tuk UK main hain
bohat mashkoor ap ki pasandeedgi ka

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Shukar Alhamdolillah, abhi ...

Shukar Alhamdolillah, abhi to yaha he, Insha Allah Eid ke liye jayenge.

Bas, thola busy tha. Aap kaise he?

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

Alhamdo lillah me 2 fine buddy

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said main aur meraa ...

main aur meraa Khudaa

laakho.n shaklo.n ke mele me.n tanhaa rahanaa meraa kaam
bhes badal kar dekhate rahanaa tez havaao.n kaa koharaam
ek taraf aavaaz kaa suuraj ek taraf ik guungii shaam
ek taraf jismo.n kii Khushbuu ek taraf is kaa anjaam
ban gayaa qaatil mere liye to apanii hii nazaro.n kaa daam
sab se ba.Daa hai naam Khudaa kaa us ke baad hai meraa naam

Munir Niazi

 

ayesha76's picture

ayesha76 said azharm bhai sahb bday naik ...

azharm bhai sahb
bday naik kaam pay lga diya hy sbko
mashallah sb hamd o snaa kr rahy hen
thanks

 

azharm's picture

azharm said ayesha76 ...

bohat shukriya Ayesha ji, ap bhi kuch share kijiay na please

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

kia khoob kalaam select kia ap nay Muneer Niazi ji ka

Yamini Das gupta ki aik khoobsoorat tehreer paish hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Wohi Sab Say Meeti Zubaan ...

Wohi Sab Say Meeti Zubaan Hai,
Jo meray Nabi ki sana karey.
Rahey jis mein yaad Hazoor ki,
Mera Rab woh dil bhi aata karey.

Jo maza hai Zikr-e-Habib mein,
Hai kisi, kisi kay naseeb mein.
Wohi ranj-o-gham say bacha rahey, Jo Nabi ko yaad kiya karey.

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

kia khoob hai , bohat alaa ji

 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said ................... ...

........

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Tera naam virde zubaan ...

Tera naam virde zubaan rahay, meri aur koi dua nahin
Mujhay apnay dar ki bheek day, kay teray khazanay main kiya nahin.

Ho karam nawazi huzoor ki, meray ghamkaday mein bhi aa kabhi
Meray chara ghar aie meray nabi, mera koi teray siwa nahin.

Yeh teray Niyazi ki eid hai, abhi aur hasratay deed hai
Isay choom lenay do jaliyaan, abhi dil to iss ka bhara nahin.

Milad Raza Qadri

 

azharm's picture

azharm said naseebfinder ji ...

ap ka husne nazar hai ji, bais-e-ezaz hai ap ki tareef

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said aa_iinaa dekh kar Khayaal ...

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

Bohot khoob, Shukria Azhar Bhai.

Special thanks to everyone for their input.

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Rukhay mustafa hai woh aaina ...

Rukhay mustafa hai woh aaina kay ab aisa dusra aaina
Na hamari bazmay khiyal mein, na dukanay aaina saaz mein.

Tera jalwa paishay nazar rahay tujhay dekh ker mein jiya karoon
Jahan koi teray siwa na ho, mein ussi faza mein raha karoon.

Rukhay mustafa woh kitaab hai, jo muhabatoon ka nisaab hai
Wohi meray paishay nazar rahay, yehi raat din mein parha karoon.

Milad Raza Qadri

 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said sab ezaz Allah ke lye ...

hum us ke nacheez bande hein..


 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

Rukhay mustafa woh kitaab hai, jo muhabatoon ka nisaab hai
Wohi meray paishay nazar rahay, yehi raat din mein parha karoon.

kia bat hai janab, lajawaab hai ap ki collection

 

ayesha76's picture

ayesha76 said zikr krti rahy ...

zikr krti rahy zuban tera
lab py hr dam rahy bayan tera
agarcha tera nishan koi nain
hy mgr hr jga nishan tera
teri qudrat sy kuch nain bahir
hy makan tera, laa makan tera
reh numaa tu hi hr safar men hy
manzalen teri, karwan tera
meri mairaaj hai faqat iss men
ho jabeen meri, aastan tera
teri janib sy kher o shar ka wajood
hr yakeen tera, hr gumann tera

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Shukria Janab, meherbani ...

Shukria Janab, meherbani aapki, ek aur pesh hai...

Teri yaad meri namaz hai, teri yaad gham ka woh saar hai
Tera shukar rehmatay do jahan, mein karoon to kaisay aada karoon.

Jo kabhi naseeb ho hazri, to milay naseeb ko yawareen
Teray sangay dar pay jhuka kay sir, mein namaz e ishq aada karoon.

Mujhay apna jalwa dikhaye ja, meray dil mein aakay simaye ja
Mein sharab e marafat e khuda, tera naam lekay piya karoon.

 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said Azhar bro... ...

Masha allah very nice poetry by sabhassam and ayesha76

 

azharm's picture

azharm said Ayesha76 ji ...

agarcha tera nishan koi nain
hy mgr hr jga nishan tera
teri qudrat sy kuch nain bahir
hy makan tera, laa makan tera

bohat khoob, kia bat hai

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

Mujhay apna jalwa dikhaye ja, meray dil mein aakay simaye ja
Mein sharab e marafat e khuda, tera naam lekay piya karoon

bohat achay

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Alhamdolillah ...

We are all inspired by Brother Azharm.

Oj Paana Mere Hazoor Ka Hai,
Arsh Jaana Mere Hazoor Ka Hai.

Arsh Se Bhi Paray Woh Ho Ae,
Aana Jaana Mere Hazoor Ka Hai.

Shadiyane Bajay Shab e Mairaj,
Aaj Jana Meray Huzoor Ka Hai.

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Haq Ta’aala Ka Jalwa ...

Haq Ta’aala Ka Jalwa Raaton Raat,
Daikh Aana Mere Hazoor Ka Hai.

Baithay Baithay Madinah Ghoom Ae,
Kya Bulaana Mere Hazoor Ka Hai.

Dainay Waali Hai Zaat Allah Ki,
Par Dilaana Mere Hazoor Ka Hai.

 

azharm's picture

azharm said Jo tumharay ghulaam hain ...

Jo tumharay ghulaam hain aqaa
do jahaan kay imaam hain aqaa

meray damen main nazr karnay ko
bas darood-o-salaam hain aqaa

Ashraf Naqvi

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Azharm Bhai ...

Kya khoob likha hai. Bohot atche

 

Naseebfinder's picture

Naseebfinder said SUBHAN ALLAH ...

SUBHAN ALLAH


 

Dot.Com's picture

Dot.Com said No one knows how it is that ...

 

ghazalz's picture

ghazalz said Rang uss ka hey saarey ...

Rang uss ka hey saarey a'alam main
parda-e-deeda-o-dil hata kar daikho

 

azharm's picture

azharm said Dot.Com ...

Don't you believe it?

 

azharm's picture

azharm said ghazalz ...

welcome & thanks for a very nice sharing

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Qabr Ka Khoaf Ho Mujhay Kyon ...

Qabr Ka Khoaf Ho Mujhay Kyon Kar,
Wahan pay aana mery huzoor ka hai.

Gam Na Mehsar Ki Dhoop Ka Hai Waan,
Shamiyana Mere Huzur Ka Hai.

Kash Kehnay Lagain Yeh Log Obaid,
Tu Deewana Mere Hazoor Ka Hai

 

naseem007's picture

naseem007 said ghazalz ...

kia baat hai app ke gazals kahne ki ap ka fan ho gia hoon

 

naseem007's picture

naseem007 said ghazalz ap ka fan hoo gia hoon ...

ghazalz ap ka fan hoo gia hoon

 

Dot.Com's picture

Dot.Com said azhar jee ...

i don't believe, to take a decision for entire life in few seconds .

No one knows how it is that one glance a boy can break through into a girl's heart
N Bonaparte

 

wild_lyone's picture

wild_lyone said azharm ...

gul say khushbu ko hata ker dekho
tum mera naam zara dil say mita kar dekho

something lovely lovely, love it man

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Dil Ubaid E Raza Ka Hai ...

Dil Ubaid E Raza Ka Hai Gulshan,
Dil Sajana Mere Huzur Ka Hai.

Main Hoon Tayyar Intezar Yeh Hai,
Kab Bulaana Mere Hazoor Ka Hai.

Har Khazaana Mere Hazoor Ka Hai.

 

azharm's picture

azharm said wild_lyone ...

Thank u so much

 

azharm's picture

azharm said Sabhassam ji ...

Main Hoon Tayyar Intezar Yeh Hai,
Kab Bulaana Mere Hazoor Ka Hai.

bohat khoobsoorat

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Shukria Janab ...

Bhai Bhai Muhajiro Ansar,
Dil Milana Mere Huzur Ka Hai.

Jame Sheer Ek Sher Sattar Ne,
Ye Pilana Mere Huzur Ka Hai.

 

azharm's picture

azharm said marhabba syed-e-makki ...

marhabba syed-e-makki maddani al-arabi
dil-o-jan yad fidayat chay ajab khush laqami

nisbate neest bezaat tu bani adam raa
bartar az alum wa adam tu chay aali nasabi


 

Miss Pakistan's picture

Miss Pakistan said the title is intriguing ...

the title is intriguing

 

wild_lyone's picture

wild_lyone said Miss Pakistan ...

Hi
what about the poem?????
& ye got a lovely avatar

 

Miss Pakistan's picture

Miss Pakistan said Poem is great ...

Poem is great

 

azharm's picture

azharm said Miss Pakistan ...

thank you so much 4 liking it

 

piero10's picture

piero10 said hello ...

this photos from films?

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Woh sarwar e kishwar e ...

Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh per jalwah gar huye thay
Naye nirale tarab kay saaman Arab ke mehman kay liye thay.

Bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak
Malak falak apni apni lay main yeh ghur ana dil ka boltay thay.

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Zameen mali nahi hoti, zaman ...

Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.

Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Jo Naam-e-Mustafa (SAW) ...

Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.

Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Shahbaz Qamar Fareedi

 

azharm's picture

azharm said Jazzak ALLAH khair ...

Sabhassam ji be had umda collection hai ap ki

 

Sabhassam's picture

Sabhassam said Shukria Janab, aap ke ...

Shukria Janab, aap ke choices to laa jawab hai.

Please jari rakho.

 

mali01's picture

mali01 said zindagi char ghari kum hai ...

zindagi char ghari kum hai milay jo bhi khushi
runj kaisa hi sahi us ko ghatta kar dekho

wah wah kya alfaz hain... agar koi is ko dil samjhe....

 

azharm's picture

azharm said Mali ji ...

bohat shukriya ap ka ji

 

Victory_278692's picture

Victory_278692 said Yeh sab tumhara Karm hain ...

Yeh sab tumhara Karm hain Aka
Ke Baat ab tak bani huye hain

Allah kya jahannum ab bhi na sard honga
Ro Ro ke Mustafa ne dariya baha diye hain


 

azharm's picture

azharm said Victory_278692 ...

bohat khoob ji

 

Join the Qatar Living Community


Pakistan Group